Monday, March 28, 2011

Letter to an Old Frnd..!!!

Dear friend,
Kaise ho aur kya haal chaal hain..... Main yahan mast hu aur sab kushal mangal hai, aur aisa hi kuch tumhare darmayan bhi ummeed karta hu... Kafi samay se tumhari na koi khabar aayi na hi koi khat, badi yaad aaj aarahi thi aaj teri, to socha ki ek khat likhu...:)

Yu to tujhe aksar miss karta hu, wo ghanto lambi batein karna, wo logo k saath me maze lena, wo lambe drive par jana, wo achanak plan banakar aas paas ke saare ilake ghumna, wo choti choti baaton pe naaraz hona, fir manana, wo Dassu-banku-aur sagara estate party ke sath maze karna, wo yadav ka nashta aur wo makaan malik ka haddkana, na jane kya kya.....

kitna kuch yaad aata hai yr.... aur ek tu hai ki jese bhul hi gaya.... He he, jyada senti maar diya.. :D... par shayad nahi rey, tu bhi life me busy ho gaya hai aur kinhi kaaran se baat na kar paya ho... Kabhi kabhi to tere pe bahut gussa bhi aaya ki dekho to, kitna badal gaya, kabhi contach nahi karta, aur wagerah wagerah, par khud ke jeevan ka akalan karke sara gussa thanda ho jata hai...

Khair tera wahan par kya chal raha hai, job kesi chal rahi hai, aur naye logo k beech me kesa samay guzar raha hai.... College life to badi mazadar hua karti thi aur sab dosto k saath baith kar gappe karna us samay ke sabse anokhe pal thay... :).. Par suna hai ki job life me kafi kuch badal sa jata hai, aur utna samay nahi mil pata hai, isliye koi baat nahi.... College me to tu khub bak bak karta tha, ab bhi waisa hi hai na... gharwale sab kese hain.. chota kesa hai aur uski padhai kesi chal rahi hai... uske board exams honge na is saal, aur aunty kesi hai? Unke haathon ke bahjiye aur parathon ko bada miss kiya hai yr, aur esp chai... chai ke to hum shaukeen hi thay.. ;) Uncle ji kese hain, unko mera pranam kehna.

Me yaha thik hu, aur mere PG ka dusra semester khtm hone wala hai. Naya shahar aur bhi mast hai aur naye dost bhi khub hain aur har koi ek se badhkar ek. Yaha ek mera bahut achcha dost bana, jise hum Mr India bulate hain, qki wo aksar gayab rehta tha, aur ek mast dost Masahab... Baki sab bhi mast hai. Aur haan college me to jese namuno ki gang taiyar ki hai mene, jisme 2 banduk baaz hain, 1 pyari si koyal k awaaz wali Koki hai, ek badmash par masoom Choti hai, ek Miss Jadugar hai, ek choti si par moti si Jumbo hai aur ek Scientist hai. College me roj ka guzra hua pal, din ke sabse behtareen lamhe hotey hain. 

In pichle 8 mahine me lagbhag poora shahar ghum liya hai, aur ab mauka padte hi bachi kuchi jagah bhi jane ka hota rehta hai. College ki zindagi bhi anuthi hai yahan, yahan kai nayi avasar hai, aur humare pichle college se adhunik hai. Celebrities ka yaha aana aam hai, aur functions hona to aam baat si hai. Ek se badhkar ek logo se milne ka mauka bhi milta hai, aur har roj kuch naya sikhne ko hota hai. 

Ye toh hui meri yahan ki dastan, jisme roj naye panne judte ja rahe hain. Tum apna uttar jaldi dena aur apni nayi jindgi se rubaroo kara. Sabhi ko mera pranam dena aur chote ko dher saara pyar aur Good Luck.
Achcha, aur baki humare mitro ki toli kidhar kidhar bikhar gayi hai, zara sabke haal chal aur unke patey bhi dena, taki sabse baat kar saku. Purane college me kabhi jana hua kya, waha k kaise haal chaal hain, aasha hai, humare Chairman ne 2-4 aur nayi building to khichwa hi di hogi... :D

Chalo, jaldi uttar dena. aur khayal rakhna... 

Tumhara mitr,
SS.. 


PS: This is a letter by which i hv addressed some of my very close friends, whom m in still contact wid but den too, was missing dem so wrote dis article. To not to sound partial or mean at any point i hv kept it as general as i cud, and so feel free to read on and comment  as u like....

Sunday, March 6, 2011

Aj Bahut Gussa Hai....


Yu to ab aisa kuch kehna kisi bachche ke muh se nikle huye bol lagte hai, par ye asal me kisi vyakhyat bachche k to nahi, par humare andar kahin door chupe huye masoom se bachche ke jarur hai. Kabi kabi lagta hai, samajhdar hona bhi jese galat ho, kash hum bachche hi hote, to kam se kam, humari bhawnayein utni hi asli aur masoom hoti.

Aj gussa kyu hai, kyunki kisi ne kch keh diya, kisi se khamakha bahas ho gayi, bus late ho gayi, tiffin achcha nahi tha, teacher ne daata, aur na jane kya kya.... Kuch aisa tha, ki in kaarano ki parchi to jese khoob jyada hi lambi thi, aur rojana kch naya judd jata tha. Aur jitna jaldi gussa hota tha, utne hi jaldi thanda hota tha. Jis dost se khafa hote, usse agle pal hi baat karte aur mana lete. Jo kabi maa-bapu se daat khakar narajgi hoti, wo agle hi pal kuch farmaish ka khayal aatey hi choo-mantar ho jati.

Par aj ka gussa hona kitna badal gaya hai mano. Aj kisi se gussa hota hai, to sabse pehle beech ki ungli dikhate h, usse manana to choddo, shakl dekhne ki iksha nahi karte.... Teacher se kch panga jo ho jaye, to palat k jawab dene me tak nahi chukte, jo koi kch keh de to palat k kehne me to sochne se b kam waqt lagta hai.....Aj sachchi kitna gussa hai... Hai na....

Par, jab vicharon aur humare harkaton ka muaina karo to malum hota hai, ki kitna parivartan ho gaya hai aur kitna banwatipan humare andar, na jane kahan se, sama gaya hai. Kisi se muskura kar milne k peeche tak koi maksad hota hai, mitrata to door ki baat, dushmani bhi kisi sochi samjhi gehri saajish se hoti hai. Kisi ka bura ya bhala, samaj me kuch naya ya koi badlaw, ya samay ki kuch jarurat, har chiz kisi karan se hai. 

Hum jo pana chahte hai, wo yadi na miley to gussa hai, par pados me koi bhuk se marey to, hume kya, koi aur hoga, wo dekhe. Humare bhawnaon ka sab khayal rakhein, par desh ko jo log loot rahey hai, unke prati kya kehte hai hum, CBI hai, supreme court(sarvochya nyayalaya), vagerah hai, wo dekhege..... na janey, kabi dekhega bhi ya nahi, par hume kya, humko to aj apne hi kisi karan par gussa hai...

Ek samay tha, jab kisi vakya ka ek hi matlab hota tha aur koi baat ho to dil se mukurahat nikalti thi, par aj, har vakya me do matlab malum hotey hai, aur dusra wala dimag me rekhankit hokar, chehre par muskurahat ki lakir khichta hai....

Aj khana kharab mila, to khana banane wala par to gussa hai, par aj maa ne kya khaya, puchne ki tak fursat nahi. Kisi ne bura kaha, ta-umr yaad rakhte, par hazaron ne lakhon bhalai ki, uska ek bhi hisab nahi. Ek waqt ki baat thi, jab kisi ke karya ya kriya ko uski nazariye se sahi thehrakar, usko apne paimano se taul kar, apna lete thay. Pa aj to sabse pehle khud ki mahatta ka khayal jyada hota hai, aur kisi anya ke kaarya, humare hisab se hona hi, humare drishtikon ko sahi lagta hai.

To ant me akhir sawal yahi uth raha hai, ki kya humari soch kitni sankuchit ho gayi hai aur gussa hone ka paimana kitna badal gaya hai. Nazariya ka to sampoorna ulat pher ho gaya hai, aur na jane kya-kya aisa hi kuch gaya, jinko shabdon me vyakt karna utna hi kathin lag raha hai. jitna ki kisi ke kahey huye vyanga ko sakaratmak drishtikon ke roop me lena hota hai.

Aj koi bola, ki yadi is duniya se jung-burai-aapsimatbhed khatam karne hai, to kisi antriksh praniyo dwara prithwi par humla karwa do. Aur shayad ye sabse achcha vikalp bhi hai humari soch ke dayre ka utthaan ke liye. Kya khayal hai, hai na sahi baat....!!!

Kehne ko to na jane abi kya kya hai, par is samay ki aur bhi mahatwapurna jaruratein hain, jinhe pura karna shayad apni bhawnaon ko likhne se jyada jaruri hai. Aur na janey, kya likhne ko baitha tha, kya likh diya, sachchi, "Aj bahut gussa hai"........ ;)