Sunday, March 6, 2011

Aj Bahut Gussa Hai....


Yu to ab aisa kuch kehna kisi bachche ke muh se nikle huye bol lagte hai, par ye asal me kisi vyakhyat bachche k to nahi, par humare andar kahin door chupe huye masoom se bachche ke jarur hai. Kabi kabi lagta hai, samajhdar hona bhi jese galat ho, kash hum bachche hi hote, to kam se kam, humari bhawnayein utni hi asli aur masoom hoti.

Aj gussa kyu hai, kyunki kisi ne kch keh diya, kisi se khamakha bahas ho gayi, bus late ho gayi, tiffin achcha nahi tha, teacher ne daata, aur na jane kya kya.... Kuch aisa tha, ki in kaarano ki parchi to jese khoob jyada hi lambi thi, aur rojana kch naya judd jata tha. Aur jitna jaldi gussa hota tha, utne hi jaldi thanda hota tha. Jis dost se khafa hote, usse agle pal hi baat karte aur mana lete. Jo kabi maa-bapu se daat khakar narajgi hoti, wo agle hi pal kuch farmaish ka khayal aatey hi choo-mantar ho jati.

Par aj ka gussa hona kitna badal gaya hai mano. Aj kisi se gussa hota hai, to sabse pehle beech ki ungli dikhate h, usse manana to choddo, shakl dekhne ki iksha nahi karte.... Teacher se kch panga jo ho jaye, to palat k jawab dene me tak nahi chukte, jo koi kch keh de to palat k kehne me to sochne se b kam waqt lagta hai.....Aj sachchi kitna gussa hai... Hai na....

Par, jab vicharon aur humare harkaton ka muaina karo to malum hota hai, ki kitna parivartan ho gaya hai aur kitna banwatipan humare andar, na jane kahan se, sama gaya hai. Kisi se muskura kar milne k peeche tak koi maksad hota hai, mitrata to door ki baat, dushmani bhi kisi sochi samjhi gehri saajish se hoti hai. Kisi ka bura ya bhala, samaj me kuch naya ya koi badlaw, ya samay ki kuch jarurat, har chiz kisi karan se hai. 

Hum jo pana chahte hai, wo yadi na miley to gussa hai, par pados me koi bhuk se marey to, hume kya, koi aur hoga, wo dekhe. Humare bhawnaon ka sab khayal rakhein, par desh ko jo log loot rahey hai, unke prati kya kehte hai hum, CBI hai, supreme court(sarvochya nyayalaya), vagerah hai, wo dekhege..... na janey, kabi dekhega bhi ya nahi, par hume kya, humko to aj apne hi kisi karan par gussa hai...

Ek samay tha, jab kisi vakya ka ek hi matlab hota tha aur koi baat ho to dil se mukurahat nikalti thi, par aj, har vakya me do matlab malum hotey hai, aur dusra wala dimag me rekhankit hokar, chehre par muskurahat ki lakir khichta hai....

Aj khana kharab mila, to khana banane wala par to gussa hai, par aj maa ne kya khaya, puchne ki tak fursat nahi. Kisi ne bura kaha, ta-umr yaad rakhte, par hazaron ne lakhon bhalai ki, uska ek bhi hisab nahi. Ek waqt ki baat thi, jab kisi ke karya ya kriya ko uski nazariye se sahi thehrakar, usko apne paimano se taul kar, apna lete thay. Pa aj to sabse pehle khud ki mahatta ka khayal jyada hota hai, aur kisi anya ke kaarya, humare hisab se hona hi, humare drishtikon ko sahi lagta hai.

To ant me akhir sawal yahi uth raha hai, ki kya humari soch kitni sankuchit ho gayi hai aur gussa hone ka paimana kitna badal gaya hai. Nazariya ka to sampoorna ulat pher ho gaya hai, aur na jane kya-kya aisa hi kuch gaya, jinko shabdon me vyakt karna utna hi kathin lag raha hai. jitna ki kisi ke kahey huye vyanga ko sakaratmak drishtikon ke roop me lena hota hai.

Aj koi bola, ki yadi is duniya se jung-burai-aapsimatbhed khatam karne hai, to kisi antriksh praniyo dwara prithwi par humla karwa do. Aur shayad ye sabse achcha vikalp bhi hai humari soch ke dayre ka utthaan ke liye. Kya khayal hai, hai na sahi baat....!!!

Kehne ko to na jane abi kya kya hai, par is samay ki aur bhi mahatwapurna jaruratein hain, jinhe pura karna shayad apni bhawnaon ko likhne se jyada jaruri hai. Aur na janey, kya likhne ko baitha tha, kya likh diya, sachchi, "Aj bahut gussa hai"........ ;)

No comments:

Post a Comment